Aisa pehli baar hua hai, satraanh athraanh saalon mein…
Andekha anjaana koi, aane lagaa khayaalon mein…
Aankhon ki khidki par, ek saaya sa lehraata hai…
Dil ke darvaaze par, koi dastak dekar jaata hai…
Gehri Gehri kaali aankhen, mujhse mujhko poochhti hain…
Haathon ki rekhaaon mein, ek chehra sa ban jaata hai…
Uski saasein resham jaisi, gaalon ko chhoo jaati hain…
Uske haathon ki khushboo hai, ab tak mere baalon mein…
Haan! …aisa pehli baar hua hai, satraanh athraanh saalon mein…
Andekha anjaana koi, aane lagaa khayaalon mein…